Friday, March 1, 2013

SUKHANWAR


Behgaye hain meri ankhon se samandar kitne
Huey hain aaj tak mujhe gham mayassar kitne

Waqt ne bhar diya kuch zakhmon ko phir bhi
Ghaav ab bhi maujood hain dil ke andar kitne

Kisi ne ched di hai phir mere ishq ki daastan
Zehen mein aaye hain mere manzar kitne

Kyun bana main shayar na pooche koi mujhse
Uske husn ne banaye thay jaane sukhanwar kitne

Sogayin yaaden, dafn hain panno mein dil ke
Bhoolgaye Zia likhe thay sher Raat Bhar kitne

Friday, September 16, 2011

SABAB

Apne gham ka sabab kaise bataye koi
kyun kisi aur ke dard ko badhaye koi

tanhai se batein karke dil behlata hai
bas sirf isi umeed pe ke aajaye koi

dilase or tasalliyan khoob marham hain
par gehre daaghon ko kaise mitaye koi

thes jigar pe lagi to tukde-tukde hone de
kaanch ke tukdon pa kaise chala aaye koi

panchi hun to hawa ka rukh janta hun
par toofan se kaise khudko bachaye koi

raat ka suraj to abhi nikla nahi lekin
din ke chand ko raushni dikhlaye koi

dhundne se milte nahi aajkal dost bhi
par kyun kisi ghair ko apna banaye koi

sargoshi ka gungunana teergi ka itrana
is mausam mein aye dil kaise muskuraye koi

Maine dekha usko shaame-mehfil mein
mera naam sun sun kar sharmaye koi

Koi Mujhse kehta hai ke door chala jaun
par door jaake bhi Zia ko na bhulapaye koi

Sunday, September 11, 2011

HAQEEQAT

Zehen mein aadmi hai dil mein bachpana hai
yahi hai meri haqiqat Zia yahi meri sana hai

Is kharab duniya ne kisiko kya dia hai
jise dia khuda ne wahi bada bana hai

Insaniyat ka ab koi meyar nahi raha hai
aaj Insan hi Insan ko karraha fana hai

Sach ke raaste pe chalna mohaal hai ab
magar jhoot ka sahara bhi lena mana hai

Thursday, September 8, 2011

Tabassum

Dariya mein ye soorat-e-anjum kiski hai
Sahil par ye sada-e-tarannum kiski hai

Mere toote hue dil se to Aah nikli hai
phir Zia ye nida-e-tabassum kiski hai

Friday, November 5, 2010

SHAAM

Surkh sunehri ye shaam ayi gardish hai par dhuli hai chadar
thoda thoda sukh deti hai mujhe ye kitni achi hai
tanhai mein dost hai meri ye to bilkul sachi hai
Main akeli hu is jahan mein mujhse kehti hai aakar

safed chehre pe kala teeka
mausam bhi hai pheeka pheeka
raat jaane kahan tikgayi hai jaakar

patta patta sukhi gali
jamun ki ek tooti kali
bichakar labon pe baithi hai
jism mein hai bekali
soya hua sara jahan hai koi nahi karta aadar

bheege lamhe aankh bhar aayi
aangan mein hai tooti charpayi
baap lori sunata hai jhula jhulati hai madar

shabbakhair aye maazi tujhko mera akhri salam
bujhgayi shama is dil ki khatm hogayi hai shaam
ho chuki hai ab mehfil behchuke hain ab saagar

Thursday, April 8, 2010

HARKATEIN DARD KI

Meri zindagi pe gham ka saaya hai

Maine bhi apne dil ko samjhaya hai


Harkatein dard ki kaise sitam karen mujhpe

ye wahi zakhm hai jo bhara tha ubhar aya hai


Meri ankhon se nikle thay samandar kitne

aaj har ek katre mein dariya bahaya hai


Badhte hue haath aur badalte hue rishtey

inhi marhalon ne humko jeena sikhaya hai


Jis aasman pe kahin khwab rehte hain ZIA

teri yaadon ne mujhe wahin pahochaya hai.

Monday, November 30, 2009

APNA

Saza ye kis baat ki hai kasoor koi apna hi hoga

Chhodke chala gaya kon zarur koi apna hi hoga


Tere mere beech pehle to qurbat thi par ab

Paas hain sab ahle-sheher door koi apna hi hoga


Paraya chand kahan aasakta hai is zameen par

Ye chamakta hua mahenoor koi apna hi hoga


Ghairon ki basti mein dil tutne ki awaz aayi hai

Ishq ki masti mein choor koi apna hi hoga


Kon hai jisne mere saamne mere ghar ko jalaya

Kisse poochte hain huzoor koi apna hi hoga