Sunday, September 11, 2011

HAQEEQAT

Zehen mein aadmi hai dil mein bachpana hai
yahi hai meri haqiqat Zia yahi meri sana hai

Is kharab duniya ne kisiko kya dia hai
jise dia khuda ne wahi bada bana hai

Insaniyat ka ab koi meyar nahi raha hai
aaj Insan hi Insan ko karraha fana hai

Sach ke raaste pe chalna mohaal hai ab
magar jhoot ka sahara bhi lena mana hai

4 comments:

amna said...

yahi toh sachae hai jisko hamay apnana hai.....

Ebboftheriver said...

bahut sahi miya :)

Anonymous said...

Sach ke raaste pe chalna mohaal hai ab
magar jhoot ka sahara bhi lena mana hai

did not und these lines, else masth hain

ZIA LAKHNAVI said...

"Sach ke raaste pe chalna mohaal hai ab
magar jhoot ka sahara bhi lena mana hai"

"Walking in the path of Truth is very hard in this world
and it also prohibited to choose and take help of the path of Lie".