Monday, November 30, 2009

APNA

Saza ye kis baat ki hai kasoor koi apna hi hoga

Chhodke chala gaya kon zarur koi apna hi hoga


Tere mere beech pehle to qurbat thi par ab

Paas hain sab ahle-sheher door koi apna hi hoga


Paraya chand kahan aasakta hai is zameen par

Ye chamakta hua mahenoor koi apna hi hoga


Ghairon ki basti mein dil tutne ki awaz aayi hai

Ishq ki masti mein choor koi apna hi hoga


Kon hai jisne mere saamne mere ghar ko jalaya

Kisse poochte hain huzoor koi apna hi hoga

Sunday, October 18, 2009

RAASTA

Kyun kisi ko ghalat raasta dikhlayein hum

Kahin apni raah mein na bhatak jayein hum


Bada ghalib hua jaraha hai ishq ka asar

Khud ko is sheh se kaise bachayein hum


Sadak pe chalke dekhte hain haale-ghurbat

Ahkaame-insaniyat ko kaise bhulayein hum


Dil pe zor padta hai to ankhein rawan hoti hain

Ab aur kahan is dard ko chhupayein hum


Na rehguzar hai koi na manzil ka pata hume

Dekhiye chalte-chalte kahan pahonch jaayein hum


Maut ke kareeb leaayi hai taqdir humko

Waada-e-hayat ko kaise nibhayein hum


Haqiqat ke bazuon mein ab wo taqat nahi rahi ZIA

Unko apne gham ka sabab kaise samjhayein hum

Tuesday, September 15, 2009

AANSU

DIKHTE NAHI CHAND KI ROSHNI MEIN BHI
MUSKURA KE ANDHERE MEIN CHUPJAATE HAIN AANSU

ANKHON KE SAHIL PE TIKE REHTE HAIN
PALKON PE SE UTARNE MEIN SHARMAATE HAIN AANSU

KHAMOSH RAAT KI FIZAON MEIN AKSAR
KUCH NA BOLKE BHI SAB KUCH KEHJAATE HAIN AANSU

YUN ROTA HUN MAIN BARISH MEIN KABHI
KE BARASTI BOONDON MEIN GHULJAATE HAIN AANSU

BAHADETE HAIN DARD KE SAILAAB NA AAYE
IS TARAHN IS DIL KO HAMESHA BEHLAATE HAIN AANSU

Monday, August 17, 2009

WAFA

Hamari wafa par unko aitbar nahin
sab rishte aziz hain lekin pyar nahin

dil mein kuch rehta hai zabaan pe kuch
unko apni khwahishon pe ikhtiyar nahin

Khoya hai humne apna maqsade-hayat kahin
Jabhi jehade-nafs ke liye koi tayyar nahin

Mere chehre ko kharidne waale mile bahot
Mere dil ka lekin koi bhi kharidaar nahin

Tune na jaana meri khusk ankhon ka raaz
Tere ashkon mein sanam woh raftar nahin

Unki baaton se nahi hosakta main ghayal
Jinke paas aye ZIA lafzon ki talwar nahin

WAQT

Waqt uda hai zindagi uthi hogi

Sham ke dar pe raat ruki hogi


Mujh ko gira dekhkar hairan na ho

Pehle kabhi uski nazar jhuki hogi


Ye kaisi raat hai jo hawa bhi behosh hai

Uski neend khwab mein utar chuki hogi


Pairon tale raundte ho awara phoolon ko

Tere kisi kadam mein manzil chhupi hogi


Pata nahi ke ab ye zindagi kya hogi

Achhi nahi hogi ZIA to phir buri hogi

Saturday, August 8, 2009

MURAAD

Kuch aye soznuma dil kabhi shaad bhi ho
kabhi to mere dil ki mehfil aabaad bhi ho

Sahi karein ya ghalat accha karein ya bura
har baat pe Tohmat hai kabhi Daad bhi ho

Un Masjidon mein nahi milta Allah to dhund
par jaisi manzil hai waisi buniyad bhi ho

Kya chahat ho kya maange ab hum"ZIA"
teri hasrat ke siwa koi muraad bhi ho

GHALIB

Kabhi roshni to kabhi andhera mere aage
Hota hai shabo-roz tamaasha mere aage

In husnwalon se ab mujhe kya ho darkaar
Jab khadi hai pari-e-mahlaqa mere aage

Thaani hai to utar aunga tere dil mein main
Chaahe lagado nafrat ka pehra mere aage

Zeher sa namkin lagta hai tujhe ankh ka dariya
Shabnam sa shirin hai ye masakna mere aage

Mauje-saba to kabhi lehere-ayyub liye hue
is tarahn behta hai ye dariya mere aage

Ye akse-khushboo ye gulposh fazayein kaisi
jaise khilraha hai koi sehra mere aage

Chalo sajayein aaj bazme-ishq is dil mein
rakhdo laake uska chehra mere aage

Main chalta raha manzil ke peeche peeche
Aur bhaagta raha ye zamana mere aage

Qatle-wafa ka jo tune mujhe banadia moharriq
Mera kalam bhi hai sharminda mere aage

Jab Masti-e-idaraake-junoon mein hun dooba phir
kya masti-e-baadaa-e-isharat ka nasha mere aage

Teri nigahon ka tabassum tere labon ki narmi
sab dikhta hai jab aata hai aaina mere aage

Main ZIA adna sa ek shayar mehroome-alfaz
Aye GHALIB tu hai lafzon ka khuda mere aage

Friday, August 7, 2009

BEZUBAN

Aey Dil Mujhe Aisi Jagah Le Chal Jahan Koi Na Ho
Hon jis jagah banjar sab ghar aur Makan Koi na Ho

Ankhon se nikla hai dariya to jaane de sahil ki ore
Us kinare par jahan iske jaisa aabe-rawan koi na ho

Main mesban bana kayi ghamon ka apne hi ghar mein
Ab mujhe leja us dayar pe jahan mehman koi na ho

Iski aahein iski sargoshi koi nahi sunta yahan pe
Ya rab mere is dil ki tarahn bezubaan koi na ho

Jal ke raakh hogaya dil dhuan bhi nahi raha ab isme
Magar ye ho nahi sakta ke chhupa armaan koi na ho

Mehtab bhi na ho us raat ke aasmaan pe khila hua
Un raaton mein raushan tere alawa rehaan koi na ho

Dil ke har tukde pa naam likha hai tera mere mehboob
Dil ka koi kona nahi bacha jahan tera nishan koi na ho

Meri khanabadoshi se poochlo meri manzil ka pata
Hum udhar jate hain jidhar apna paasban koi na ho

Main kholdun dil-e-mehkoome-ishq ke raaz sabhi
Magar sirf tu ho mera humraaz aur raazdan koi na ho

Jahan barabar ho sach-jhut ka meezan pe bhaar
Jahan sab log hon haqparast aur furqan koi na ho

Imaanwalon ki basti mein kharidar hain bahot ZIA
Mujhe nahi jana us basti mein jisme beiman koi na ho

SAFAR

Yun tanha Zindagi ka safar hone na denge
Teri yaadon ko hum beghar hone na denge

Bheegi raat mein mehtab ki ye naghmagi aisi
Taaro'N ko ye zidd hai kii sahar hone na denge

Toot na jaye wo ghar jisme tujhe basa rakha hai
Dil ki deewaron pe ishq ka asar hone na denge

Teri soorat kuch aise sama gayi hai meri rooh mein
Koi or chehra in ankhon mein basar hone na denge

Abre-gham baras pada to ab ayega sailaab lekin
Dariya ko zid hai ke bechain lehar hone na denge

Teri ankhon ka tabassum hai kitna dilkash ZIA
Ab in nazron se ashkon ka guzar hone na denge