Friday, August 7, 2009

SAFAR

Yun tanha Zindagi ka safar hone na denge
Teri yaadon ko hum beghar hone na denge

Bheegi raat mein mehtab ki ye naghmagi aisi
Taaro'N ko ye zidd hai kii sahar hone na denge

Toot na jaye wo ghar jisme tujhe basa rakha hai
Dil ki deewaron pe ishq ka asar hone na denge

Teri soorat kuch aise sama gayi hai meri rooh mein
Koi or chehra in ankhon mein basar hone na denge

Abre-gham baras pada to ab ayega sailaab lekin
Dariya ko zid hai ke bechain lehar hone na denge

Teri ankhon ka tabassum hai kitna dilkash ZIA
Ab in nazron se ashkon ka guzar hone na denge

8 comments:

samra said...

bohat gehrayi mein jaaker socha phir likha hmmmm......

u have good writing skills...good
kee it up...

Aarti verma said...

BeaUtIfUll............
HUM AAPKI IS SHAYARI KO BINA TAARIF KE PURA HONE NA DENGE..

Aarti verma said...
This comment has been removed by the author.
ZIA LAKHNAVI said...

Thank u Both of u for your appreciation!~~!

Unknown said...

tumhe khudane bauhat khubsurat aur anokhee kaladi hai
joh tum sachayilafzo main likh dete ho

princess said...

MASHA ALLAH BAHUT KHUB REALLY AWESOME COLLECTION..:)

ZIA LAKHNAVI said...

Thankz a lot arshi n princess!~!

Anonymous said...

"Teri ankhon ka tabassum hai kitna dilkash ZIA
Ab in nazron se ashkon ka guzar hone na denge"

That's my favourite line!